Azal Ki Khushboo Ho Jismain Pinhaan Naat Lyrics: Azal Ki Khushboo Ho Jismain Pinhaan, this beautiful naat is recite by Waheed Zafar Qasmi in his magical voice – Here we mustard Lyrics of this naat.
Azal Ki Khushboo Ho Jismain Pinhaan
Koi Bataye To Naam Aisa
Wo Naam-e-Ahmed K Phool Barsain
Bayan Aisa Kalam Aisa
Azal Ki Khushboo Ho Jismain Pinhaan
Koi Bataye To Naam Aisa
Wo Naam-e-Ahmed K Phool Barsain
Bayan Aisa Kalam Aisa
Azak ki Khushboo
Wohi Ha Qur’an Wohi Ha Furqan
Wohi Ha Rab Jiska Ha Sana Khaa’n
Farishty Parh Parh K Jhoomty Hain
Durood Aisa Salam Aisa
Azal Ki Khushboo
Ha Deen-e-Haq Main Jamal-e-Yazdaan
Ha Arsh Bhi Jispe Aj Naaz’an
Wohi To Laya Ha Deen Aisa
Wohi To Laya Nizam Aisa
Azal Ki Khushboo
Wo Jis ka Saya To Arsh Par Ha
Wo Jis Ka Zaroon k Dil Ma Ghar Ha
Wohi Jo Chamka To Phir Na Dooba
Wohi Ha Mahay Tamam Aisa
Azal Ki Khushboo
Nazar Bay Yaksaan Ghulam-o-Aqaa
Bazurgun Par Tar Ha Sirf Taqwa
Koi Jahan Ma Ha Deen Aisa
Kahi Ha Koi Nizaam Aisa
Azal Ki Khushboo
Wo Jis Andheri Gali Sy Guzra
Badal Diya Noor Main Andhera
Dilon Ki Duniya Badal K Rakhdi
Diya Dilon ko Payam Aisa
Azal Ki Khushboo
Aqeel Aisa Khaleel Aisa
Jaleel Aisa Jameel Aisa
Na Riffaton Main Na Azmaton Main
Kisi Ne Paya Muqam Aisa
Azal Ki Khushboo
Qala’t Aisi Sa’adat Aisi
Riyazaat Aisi Ibadat Aisi
Wo Jis Py Kabay Ko Wajad Aya
Sujood Aisa Qayam Aisa
Azal Ki Khushboo Ho Jismain Pinhaan
Koi Bataye To Naam Aisa
Wo Naam-e-Ahmed K Phool Barsain
Bayan Aisa Kalam Aisa
Azal Ki Khushboo
Credits – YouTube Videos: